pahle insan mohabbat mein mara hai shayad
pahle insān mohabbat meñ marā hai shāyad
zahr to baad meñ ījād huā hai shāyad
lafz-e-ehsās ko tasvīr nahīñ kar sakte
ishq duniyā kī zabānoñ se baḌā hai shāyad
husn kī tarah tirā ishq mukammal thā magar
ye judā.ī mirī qismat kā likhā hai shāyad
maiñ jise DhūñD rahā huuñ tire ḳhāl-o-ḳhad meñ
dar-haqīqat kahīñ ḳhvāboñ meñ basā hai shāyad
zeb detā hai use itnā taġhāful mujh se
vo kahīñ aur bhī masrūf-e-vafā hai shāyad
pahle insan mohabbat mein mara hai shayad
zahr to baad mein ijad hua hai shayad
lafz-e-ehsas ko taswir nahin kar sakte
ishq duniya ki zabanon se baDa hai shayad
husn ki tarah tera ishq mukammal tha magar
ye judai meri qismat ka likha hai shayad
main jise DhunD raha hun tere KHal-o-KHad mein
dar-haqiqat kahin KHwabon mein basa hai shayad
zeb deta hai use itna taghaful mujh se
wo kahin aur bhi masruf-e-wafa hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.