pahle jo mera rang tha ab wo nahin raha
pahle jo merā rañg thā ab vo nahīñ rahā
mailā kiyā hai jis ne vahī dho nahīñ rahā
jaagā huā hai dil meñ koī dard-e-be-karāñ
lorī sunā rahā huuñ magar so nahīñ rahā
socho zarā ye kitnī aziyyat kī baat hai
ham mar rahe haiñ aur koī ro nahīñ rahā
ya.anī churā ke le hī gayā hai mujhe vo shaḳhs
ā.īna kah rahā hai ki tū vo nahīñ rahā
nazdīk hai ki ab mujhe Das le siyāh raat
merā vajūd jaltā diyā jo nahīñ rahā
pahle jo mera rang tha ab wo nahin raha
maila kiya hai jis ne wahi dho nahin raha
jaga hua hai dil mein koi dard-e-be-karan
lori suna raha hun magar so nahin raha
socho zara ye kitni aziyyat ki baat hai
hum mar rahe hain aur koi ro nahin raha
yani chura ke le hi gaya hai mujhe wo shaKHs
aaina kah raha hai ki tu wo nahin raha
nazdik hai ki ab mujhe Das le siyah raat
mera wajud jalta diya jo nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.