pahle KHud apne samne tum aaina karo
pahle ḳhud apne sāmne tum aa.ina karo
aiboñ pe dūsroñ ke agar tabsira karo
tai karnā ye muhāl hai apne shu.ūr se
jo bevafā hai un se kahāñ tak vafā karo
Dar hai lapak na le mujhe merī udāsiyāñ
tum muskurā ke mujh meñ ujālā kiyā karo
achchhā nahīñ kahā hai ḳhāmoshī ko ishq meñ
ham se kahā karo kabhī ham se sunā karo
pahle KHud apne samne tum aaina karo
aibon pe dusron ke agar tabsira karo
tai karna ye muhaal hai apne shuur se
jo bewafa hai un se kahan tak wafa karo
Dar hai lapak na le mujhe meri udasiyan
tum muskura ke mujh mein ujala kiya karo
achchha nahin kaha hai KHamoshi ko ishq mein
hum se kaha karo kabhi hum se suna karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.