pahle main teri nazar mein aaya
pahle maiñ terī nazar meñ aayā
phir kahīñ apnī ḳhabar meñ aayā
maiñ tire ek hī pal meñ Thahrā
tū mire shām-o-sahar meñ aayā
mujh pe chhā.ī rahīñ palkeñ terī
maiñ kahāñ sāya-e-zar meñ aayā
ek maiñ hī tirī dhun meñ niklā
ek tū hī mire ghar meñ aayā
ham jo ik saath chale to 'yūsuf'
āsmāñ gard-e-safar meñ aayā
pahle main teri nazar mein aaya
phir kahin apni KHabar mein aaya
main tere ek hi pal mein Thahra
tu mere sham-o-sahar mein aaya
mujh pe chhai rahin palken teri
main kahan saya-e-zar mein aaya
ek main hi teri dhun mein nikla
ek tu hi mere ghar mein aaya
hum jo ek sath chale to 'yusuf'
aasman gard-e-safar mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.