pahle mujh par bahut fida hona
pahle mujh par bahut fidā honā
us kī chāhat kā phir fanā honā
ye bhī baḳhiye udheḌ detī hai
us ko halkā na le havā honā
ḳhud ko mahrūm-e-raushnī rakh kar
kitnā mushkil hai ik diyā honā
is suhūlat se zindagī kaaTī
mujh ko aayā na pārsā honā
tū mirī mushkilāt kyā samjhe
tujh ko aatā hai bas ḳhudā honā
merī tartīb se rahī nālāñ
ziist ko aa gayā ḳhafā honā
us ke jīvan meñ aa gayā koī
khā gayā mujh ko dūsrā honā
pahle mujh par bahut fida hona
us ki chahat ka phir fana hona
ye bhi baKHiye udheD deti hai
us ko halka na le hawa hona
KHud ko mahrum-e-raushni rakh kar
kitna mushkil hai ek diya hona
is suhulat se zindagi kaTi
mujh ko aaya na parsa hona
tu meri mushkilat kya samjhe
tujh ko aata hai bas KHuda hona
meri tartib se rahi nalan
zist ko aa gaya KHafa hona
us ke jiwan mein aa gaya koi
kha gaya mujh ko dusra hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.