pahle pahal to mujhko hichki aati thi
pahle pahal to mujh ko hichkī aatī thī
baa'd meñ tere naam kī chiTTī aatī thī
baañT liyā karte the donoñ ghar kā dukh
vo bhī daftar thoḌā jaldī aatī thī
kab milnā hai aur kahāñ par milnā hai
copy meñ rakh kar ye parchī aatī thī
ham milte the us se aise mausam meñ
jab sarsoñ ke phuul pe titlī aatī thī
bāġhoñ kī jānib ham dauḌ lagāte the
aam ke mausam meñ jab āñdhī aatī thī
ham bachche bhī kitnā shor machāte the
shaam ko jab bhī gaañv meñ bijlī aatī thī
pahle pahal to mujh ko hichki aati thi
ba'd mein tere nam ki chiTTi aati thi
banT liya karte the donon ghar ka dukh
wo bhi daftar thoDa jaldi aati thi
kab milna hai aur kahan par milna hai
copy mein rakh kar ye parchi aati thi
hum milte the us se aise mausam mein
jab sarson ke phul pe titli aati thi
baghon ki jaanib hum dauD lagate the
aam ke mausam mein jab aandhi aati thi
hum bachche bhi kitna shor machate the
sham ko jab bhi ganw mein bijli aati thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.