pahle paidal paidal jaya karte the
pahle paidal paidal jaayā karte the
phir donoñ ik bas meñ baiThā karte the
vo zulfoñ ko pīchhe kartī rahtī thī
phir bhī us ke gesū bikhrā karte the
vo avval thī paḌhne-likhne meñ aur ham
pīchhe sab se pīchhe baiThā karte the
naam pukārā jaatā thā jab us kā to
yes-sir yes-sir ham bhī bolā karte the
duhre kaam kī aadat bachpan se hī thī
us kī copy bhī ham likkhā karte the
us kī nazreñ rahtī thiiñ bas teacher par
ham to keval us ko dekhā karte the
pahle paidal paidal jaya karte the
phir donon ek bas mein baiTha karte the
wo zulfon ko pichhe karti rahti thi
phir bhi us ke gesu bikhra karte the
wo awwal thi paDhne-likhne mein aur hum
pichhe sab se pichhe baiTha karte the
nam pukara jata tha jab us ka to
yes-sir yes-sir hum bhi bola karte the
duhre kaam ki aadat bachpan se hi thi
us ki copy bhi hum likkha karte the
us ki nazren rahti thin bas teacher par
hum to kewal us ko dekha karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.