pahle ruTha yar manana hota hai
pahle rūThā yaar manānā hotā hai
phir koī tyauhār manānā hotā hai
us kā kyā hai vo to bas ro detā hai
mujh ko hī har baar manānā hotā hai
rishtoñ kī buniyād basīrat hotī hai
is ḳhātir sansār manānā hotā hai
maiñ vo huuñ jo haarā us kī ḳhushiyoñ se
mujh ko ġham bhī yaar manānā hotā hai
pahle ruTha yar manana hota hai
phir koi tyauhaar manana hota hai
us ka kya hai wo to bas ro deta hai
mujh ko hi har bar manana hota hai
rishton ki buniyaad basirat hoti hai
is KHatir sansar manana hota hai
main wo hun jo haara us ki KHushiyon se
mujh ko gham bhi yar manana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.