pahle subh ka raushan tara sirf hamare dhyan mein tha
pahle sub.h kā raushan taarā sirf hamāre dhyān meñ thā
lekin azm kī lau bhaḌkī to sūraj bhī imkān meñ thā
shahr-e-jāñ se dasht-e-adam tak karb kā mausam saath rahā
jaane kis kī khoj meñ the ham kis kā chehra dhyān meñ thā
sahr-e-sūd-o-ziyāñ meñ shor thā ghaTte baḌhte nirḳhoñ kā
lekin us shaffāf galī kā har lamha nirvān meñ thā
mahrūmī kī barf pighal kar merī ragoñ meñ jam jaatī
aañkh meñ sūraj dar aate hī jism bhī ātish-dān meñ thā
maiñ Thahrā ik muflis shā.ir nazr use kartā bhī kyā
bas ye jīvan vaar aayā huuñ jīvan hī imkān meñ thā
saarī umr guzārī 'sāġhar' tab ye tilism-e-zāt khulā
ik chehre kā aks thā mujh meñ ik chehra gul-dān meñ thā
pahle subh ka raushan tara sirf hamare dhyan mein tha
lekin azm ki lau bhaDki to suraj bhi imkan mein tha
shahr-e-jaan se dasht-e-adam tak karb ka mausam sath raha
jaane kis ki khoj mein the hum kis ka chehra dhyan mein tha
sahr-e-sud-o-ziyan mein shor tha ghaTte baDhte nirKHon ka
lekin us shaffaf gali ka har lamha nirwan mein tha
mahrumi ki barf pighal kar meri ragon mein jam jati
aankh mein suraj dar aate hi jism bhi aatish-dan mein tha
main Thahra ek muflis shair nazr use karta bhi kya
bas ye jiwan war aaya hun jiwan hi imkan mein tha
sari umr guzari 'saghar' tab ye tilism-e-zat khula
ek chehre ka aks tha mujh mein ek chehra gul-dan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.