pahle taron ka ehtimam kare
pahle tāroñ kā ehtimām kare
ba.ad meñ dopahar ko shaam kare
ḳhvāb āñkhoñ se bahne vaalā hai
koī bistar kā intizām kare
āshiqī dasht tak nahīñ mahdūd
qais se kahiye apnā kaam kare
pyaas hī khīñch laatī hai varna
kaun dariyā kā ehtirām kare
jis ko lamhoñ meñ dekhnī ho sadī
aa ke pahle mujhe salām kare
us ko bhī to kahāñ milī duniyā
jis ne duniyā ke tām-jhām kare
pahle taron ka ehtimam kare
baad mein dopahar ko sham kare
KHwab aankhon se bahne wala hai
koi bistar ka intizam kare
aashiqi dasht tak nahin mahdud
qais se kahiye apna kaam kare
pyas hi khinch lati hai warna
kaun dariya ka ehtiram kare
jis ko lamhon mein dekhni ho sadi
aa ke pahle mujhe salam kare
us ko bhi to kahan mili duniya
jis ne duniya ke tam-jham kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.