Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua

Shaheen Abbas

pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua

Shaheen Abbas

MORE BYShaheen Abbas

    pahle to miTTī aur paanī andāza huā

    phir mujhe apnī pareshānī andāza huā

    ai mohabbat tere dukh se dostī āsāñ na thī

    tujh ho kar terī vīrānī andāza huā

    umr-bhar ham ne fanā ke tajarbe ḳhud par kiye

    umr-bhar meñ ālam-e-fānī andāza huā

    ik zamāne tak badan be-ḳhvāb be-ādāb the

    phir achānak apnī uryānī andāza huā

    tere hāthoñ jal uThe ham tere hāthoñ jal bujhe

    hote hote aag aur paanī andāza huā

    sūrateñ bigḌīñ to apnī hālatoñ meñ aa.e ham

    ā.īna TuuTā to hairānī andāza huā

    pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua

    phir mujhe apni pareshani ka andaza hua

    ai mohabbat tere dukh se dosti aasan na thi

    tujh sa ho kar teri virani ka andaza hua

    umr-bhar hum ne fana ke tajarbe KHud par kiye

    umr-bhar mein aalam-e-fani ka andaza hua

    ek zamane tak badan be-KHwab be-adab the

    phir achanak apni uryani ka andaza hua

    tere hathon jal uThe hum tere hathon jal bujhe

    hote hote aag aur pani ka andaza hua

    suraten bigDin to apni haalaton mein aae hum

    aaina TuTa to hairani ka andaza hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now