pahle to mujhe kaha nikalo
pahle to mujhe kahā nikālo
phir bole ġharīb hai bulā lo
be-dil rakhne se fā.eda kyā
tum jaan se mujh ko maar Daalo
us ne bhī to dekhī haiñ ye āñkheñ
aañkh ārasī par samajh ke Daalo
aayā hai vo mah bujhā bhī do sham.a
parvānoñ ko bazm se nikālo
ghabrā ke ham aa.e the sū-e-hashr
yaañ pesh hai aur mājrā lo
takiye meñ gayā to maiñ pukārā
shab tiira hai jaago sone vaalo
aur din pe 'amīr' takiya kab tak
tum bhī to kuchh aap ko sambhālo
pahle to mujhe kaha nikalo
phir bole gharib hai bula lo
be-dil rakhne se faeda kya
tum jaan se mujh ko mar Dalo
us ne bhi to dekhi hain ye aankhen
aankh aarasi par samajh ke Dalo
aaya hai wo mah bujha bhi do shama
parwanon ko bazm se nikalo
ghabra ke hum aae the su-e-hashr
yan pesh hai aur majra lo
takiye mein gaya to main pukara
shab tera hai jago sone walo
aur din pe 'amir' takiya kab tak
tum bhi to kuchh aap ko sambhaalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.