pahle to neze KHwab mein boya karenge raat din
pahle to neze ḳhvāb meñ boyā kareñge raat din
āñkhoñ se apnī ḳhuun phir dhoyā kareñge raat din
ham titliyoñ ke pañkh pe dhāreñ lagā ke niiñd kī
ik shahr-e-nau ke ḳhvāb meñ chhoḌā kareñge raat din
bedār rah kar bhī hameñ ḳhvārī milī so tai kiyā
maut aa na jaa.e jab talak soyā kareñge raat din
tum ik javāb-e-muḳhtasar kā ham se jo va.ada karo
ham ik savāl-e-vasl hī sochā kareñge raat din
pahle to neze KHwab mein boya karenge raat din
aankhon se apni KHun phir dhoya karenge raat din
hum titliyon ke pankh pe dhaaren laga ke nind ki
ek shahr-e-nau ke KHwab mein chhoDa karenge raat din
bedar rah kar bhi hamein KHwari mili so tai kiya
maut aa na jae jab talak soya karenge raat din
tum ek jawab-e-muKHtasar ka hum se jo wada karo
hum ek sawal-e-wasl hi socha karenge raat din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.