pahle to raushni hui ijad
pahle to raushnī huī ījād
ba.ad meñ tīrgī huī ījād
shaam tak āsmān sonā thā
raat ko chāñdnī huī ījād
pahle sūraj ne dhuup bāñTī phir
peḌ bhī chhāñv bhī huī ījād
rab ne tujh ko banāyā phir sochā
haa.e kyā sādgī huī ījād
pahle aa.ī kueñ pe pinhāran
phir mirī pyaas bhī huī ījād
pahle to raushni hui ijad
baad mein tirgi hui ijad
sham tak aasman sona tha
raat ko chandni hui ijad
pahle suraj ne dhup banTi phir
peD bhi chhanw bhi hui ijad
rab ne tujh ko banaya phir socha
hae kya sadgi hui ijad
pahle aai kuen pe pinhaaran
phir meri pyas bhi hui ijad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.