pahle usko yaad kiya hai
pahle us ko yaad kiyā hai
phir aañsū ījād kiyā hai
sach pūchho to ham ko hamārī
āñkhoñ ne barbād kiyā hai
zikr tumhāre se is ghar kā
konā konā shaad kiyā hai
peḌ parinde bhej ke ham ne
jañgle ko ābād kiyā hai
ishq mohabbat jo bhī hai kuchh
us ne hamāre ba.ad kiyā hai
ham ne ashk bahā.e kab haiñ
paanī ko āzād kiyā hai
pahle us ko yaad kiya hai
phir aansu ijad kiya hai
sach puchho to hum ko hamari
aankhon ne barbaad kiya hai
zikr tumhaare se is ghar ka
kona kona shad kiya hai
peD parinde bhej ke hum ne
jangle ko aabaad kiya hai
ishq mohabbat jo bhi hai kuchh
us ne hamare baad kiya hai
hum ne ashk bahae kab hain
pani ko aazad kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.