Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahli bar mile the tum

Rehman Musawwir

pahli bar mile the tum

Rehman Musawwir

MORE BYRehman Musawwir

    pahlī baar mile the tum

    tab the kitne bhole tum

    kal to ḳhuub chahakte the

    aaj nahīñ ho vaise tum

    kuchh to sabab hai manzil par

    mujh se pahle pahuñche tum

    mausam Thahrā Thahrā hai

    kyoñ ho ukhḌe ukhḌe tum

    ḳhair mujhe to kaam bahut

    kyoñ ho shab bhar jaage tum

    motī mere haath lage

    gahrā.ī meñ utre tum

    ek haqīqat bante haiñ

    aadhā maiñ aur aadhe tum

    vo raste gulzār hue

    jin rastoñ se guzre tum

    mahak uThā konā konā

    jab āñgan meñ utre tum

    pahli bar mile the tum

    tab the kitne bhole tum

    kal to KHub chahakte the

    aaj nahin ho waise tum

    kuchh to sabab hai manzil par

    mujh se pahle pahunche tum

    mausam Thahra Thahra hai

    kyon ho ukhDe ukhDe tum

    KHair mujhe to kaam bahut

    kyon ho shab bhar jage tum

    moti mere hath lage

    gahrai mein utre tum

    ek haqiqat bante hain

    aadha main aur aadhe tum

    wo raste gulzar hue

    jin raston se guzre tum

    mahak uTha kona kona

    jab aangan mein utre tum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now