pahli jaisi hi kashish aaj bhi hai
pahlī jaisī hī kashish aaj bhī hai
kal jo thī un kī ravish aaj bhī hai
kal bhī insāf kā sar kaTtā thā
jurm par dād-o-dahish aaj bhī hai
kal jo ḳhvāhish thī tan-āsānī kī
vahī pahlū meñ ḳhalish aaj bhī hai
zehn kā kaisā hai rishta mazbūt
apne malbe meñ kashish aaj bhī hai
aag se aag bujhā.ī na ga.ī
raakh se lipTī tapish aaj bhī hai
shab kī zulmat kā vahī ġham hai 'asar'
dūsre din kī kashish aaj bhī hai
pahli jaisi hi kashish aaj bhi hai
kal jo thi un ki rawish aaj bhi hai
kal bhi insaf ka sar kaTta tha
jurm par dad-o-dahish aaj bhi hai
kal jo KHwahish thi tan-asani ki
wahi pahlu mein KHalish aaj bhi hai
zehn ka kaisa hai rishta mazbut
apne malbe mein kashish aaj bhi hai
aag se aag bujhai na gai
rakh se lipTi tapish aaj bhi hai
shab ki zulmat ka wahi gham hai 'asar'
dusre din ki kashish aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.