pahlu-e-ghair mein dukh-dard samone na diya
pahlū-e-ġhair meñ dukh-dard samone na diyā
dāman-e-vasl meñ ik hijr ne rone na diyā
rañj ye hai ki mirā dard se mahkā huā tiir
us vafā-soz ne pahlū meñ khubūne na diyā
ishq vo sho.ala-e-saffāk hai jis ne mujh par
aag jaarī rakhī aur raakh bhī hone na diyā
tujh ko tā-hijr rahā thā mirī vahshat se gurez
isī vahshat ne tirī yaad ko khone na diyā
sharm aatī hai bahut aisī subuk-doshī par
ishq kā bojh bhī is ziist ne Dhone na diyā
pahlu-e-ghair mein dukh-dard samone na diya
daman-e-wasl mein ek hijr ne rone na diya
ranj ye hai ki mera dard se mahka hua tir
us wafa-soz ne pahlu mein khubune na diya
ishq wo shoala-e-saffak hai jis ne mujh par
aag jari rakhi aur rakh bhi hone na diya
tujh ko ta-hijr raha tha meri wahshat se gurez
isi wahshat ne teri yaad ko khone na diya
sharm aati hai bahut aisi subuk-doshi par
ishq ka bojh bhi is zist ne Dhone na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.