pahlu mein dard-e-ishq ki duniya liye hue
pahlū meñ dard-e-ishq kī duniyā liye hue
baiThā huuñ zindagī kā sahārā liye hue
dil hai tajallī-e-ruḳh-e-zebā liye hue
āġhosh meñ hai chāñd ko dariyā liye hue
pahuñche to dil meñ josh-e-tamannā liye hue
lauTe magar luTī huī duniyā liye hue
maiñ jī rahā huuñ ġham-kada-e-rozgār meñ
terī mohabbatoñ kā sahārā liye hue
uThtā huuñ bazm-e-husn se laġhzish-ba-pā 'shakīl'
bahkī sī ik nazar kā sahārā liye hue
pahlu mein dard-e-ishq ki duniya liye hue
baiTha hun zindagi ka sahaara liye hue
dil hai tajalli-e-ruKH-e-zeba liye hue
aaghosh mein hai chand ko dariya liye hue
pahunche to dil mein josh-e-tamanna liye hue
lauTe magar luTi hui duniya liye hue
main ji raha hun gham-kada-e-rozgar mein
teri mohabbaton ka sahaara liye hue
uThta hun bazm-e-husn se laghzish-ba-pa 'shakil'
bahki si ek nazar ka sahaara liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.