pahlu talash kar gham-e-jaanan nae nae
pahlū talāsh kar ġham-e-jānāñ na.e na.e
detā hai roz dard ke sāmāñ na.e na.e
ḳhushiyāñ na.ī na.ī sī haiñ armāñ na.e na.e
phir zindagī ko mil ga.e unvāñ na.e na.e
shah dil ko mil ga.ī hai phir un kī nigāh se
phir shauq DhūñDhtā hai dil-o-jāñ na.e na.e
phir mahv-e-intizār haiñ taaza qayāmateñ
phir bas rahe haiñ shahr-e-nigārāñ na.e na.e
phir dard kī fazā meñ safar hai ḳhayāl kā
phir vajd meñ haiñ dasht-o-bayābāñ na.e na.e
phir oḌh kar chalī hai havas ishq kī ridā
phir baḌh ga.e fareb ke imkāñ na.e na.e
ai 'shān' inqilāb-e-zamāna kī haiñ dalīl
ye uljhaneñ ye ḳhvāb-e-pareshāñ na.e na.e
pahlu talash kar gham-e-jaanan nae nae
deta hai roz dard ke saman nae nae
KHushiyan nai nai si hain arman nae nae
phir zindagi ko mil gae unwan nae nae
shah dil ko mil gai hai phir un ki nigah se
phir shauq DhunDhta hai dil-o-jaan nae nae
phir mahw-e-intizar hain taza qayamaten
phir bas rahe hain shahr-e-nigaran nae nae
phir dard ki faza mein safar hai KHayal ka
phir wajd mein hain dasht-o-bayaban nae nae
phir oDh kar chali hai hawas ishq ki rida
phir baDh gae fareb ke imkan nae nae
ai 'shan' inqilab-e-zamana ki hain dalil
ye uljhanen ye KHwab-e-pareshan nae nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.