Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahunch gae to karenge idhar-udhar ki talash

Natiq Gulavthi

pahunch gae to karenge idhar-udhar ki talash

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    pahuñch ga.e to kareñge idhar-udhar talāsh

    abhī to hai hameñ un galī meñ ghar talāsh

    hamāre aib meñ jis se madad mile ham ko

    hameñ hai āj-kal aise kisī hunar talāsh

    charāġh le ke phirā DhūñDhtā huā ghar ghar

    shab-e-firāq jo mujh ko rahī sahar talāsh

    talāsh-e-yār meñ kaam aa ga.e hamī āḳhir

    hamāre kaam nahīñ aa.ī umr bhar talāsh

    yūñhī kabhī dur-e-mazmūñ milā nahīñ 'nātiq'

    bahut se ġhote khilātī hai ik guhar talāsh

    pahunch gae to karenge idhar-udhar ki talash

    abhi to hai hamein un ki gali mein ghar ki talash

    hamare aib mein jis se madad mile hum ko

    hamein hai aaj-kal aise kisi hunar ki talash

    charagh le ke phira DhunDhta hua ghar ghar

    shab-e-firaq jo mujh ko rahi sahar ki talash

    talash-e-yar mein kaam aa gae hami aaKHir

    hamare kaam nahin aai umr bhar ki talash

    yunhi kabhi dur-e-mazmun mila nahin 'natiq'

    bahut se ghote khilati hai ek guhar ki talash

    Source :
    • Deewan-e-Natiq
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now