pahunchna manzil-e-maqsud par hai be-mani
pahuñchnā manzil-e-maqsūd par hai be-ma.anī
jo terā saath nahīñ to safar hai be-ma.anī
agar zamīr ġhulāmī pe mutma.in ho jaa.e
to phir ye tāqat-e-ilm-o-hunar hai be-ma.anī
agar makīnoñ meñ bāham mohabbateñ na raheñ
to phir ye sahn ye dīvār-o-dar hai be-ma.anī
isī samāj meñ laḌ bhiḌ ke zindagī karnā
udhar hai ziist kā maqsad idhar hai be-ma.anī
thake thakā.e musāfir ko gar sukūñ na mile
pahāḌ jaisā ye ūñchā shajar hai be-ma.anī
pahunchna manzil-e-maqsud par hai be-mani
jo tera sath nahin to safar hai be-mani
agar zamir ghulami pe mutmain ho jae
to phir ye taqat-e-ilm-o-hunar hai be-mani
agar makinon mein baham mohabbaten na rahen
to phir ye sahn ye diwar-o-dar hai be-mani
isi samaj mein laD bhiD ke zindagi karna
udhar hai zist ka maqsad idhar hai be-mani
thake thakae musafir ko gar sukun na mile
pahaD jaisa ye uncha shajar hai be-mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.