paida kiya hai uDti hui KHak se mujhe
paidā kiyā hai uḌtī huī ḳhaak se mujhe
nisbat yahī hai sarsar-e-saffāk se mujhe
ab to asīr-e-gardish-e-lail-o-nahār huuñ
muddat huī hai utre hue chaak se mujhe
aa.egā koī kholegā band-e-qabā-e-harf
degā najāt kāġhzī poshāk se mujhe
duniyā hai ishva-sāz to maiñ huuñ makīn-e-zāt
ḳhatra nahīñ hai is zan-e-bebāk se mujhe
par phaḌphaḌā rahā huuñ basīrat ke daam meñ
koī chhuḌā.e qabza-e-idrāk se mujhe
rah jā.egī lakīr lahū kī zamīn par
le jā.iye na bāñdh ke fitrāk se mujhe
mujh se zamīn ḳhauf-zada hai 'rafīq-rāz'
ye jāntī hai rabt hai aflāk se mujhe
paida kiya hai uDti hui KHak se mujhe
nisbat yahi hai sarsar-e-saffak se mujhe
ab to asir-e-gardish-e-lail-o-nahaar hun
muddat hui hai utre hue chaak se mujhe
aaega koi kholega band-e-qaba-e-harf
dega najat kaghzi poshak se mujhe
duniya hai ishwa-saz to main hun makin-e-zat
KHatra nahin hai is zan-e-bebak se mujhe
par phaDphaDa raha hun basirat ke dam mein
koi chhuDae qabza-e-idrak se mujhe
rah jaegi lakir lahu ki zamin par
le jaiye na bandh ke fitrak se mujhe
mujh se zamin KHauf-zada hai 'rafiq-raaz'
ye jaanti hai rabt hai aflak se mujhe
- Book : Nakhl-e-Aab (Pg. 77)
- Author : Rafeeq Raaz
- Publication : Takbeer Publications, Srinagar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.