Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paigham-e-zindagi hai KHushi ki nawed hai

Sabeela Inam Siddiqui

paigham-e-zindagi hai KHushi ki nawed hai

Sabeela Inam Siddiqui

MORE BYSabeela Inam Siddiqui

    paiġhām-e-zindagī hai ḳhushī naved hai

    mere liye to aap dīdār iid hai

    kis ne kahā hai ziist mire naam kījiye

    do pal bhī saath aap īd-e-sa.īd hai

    ik aarzū hai aap mire ham-safar baneñ

    tā-umr dekhtī rahūñ ye shauq-e-dīd hai

    dil Duub jā.egā mirā bārish meñ pyaar

    sailāb-e-ishq aane shāyad shunīd hai

    har vaqt mere lab pe rahī hai yahī duā

    mil jaa.e vo ki jis mirā dil murīd hai

    baiThe haiñ but bane hue aise vo sāmne

    hone ko ab nigāh se guft-o-shunīd hai

    be-shak 'sabīla' maiñ ne raqam hai hai dāstāñ

    lekin nayā ḳhayāl hai lahja jadīd hai

    paigham-e-zindagi hai KHushi ki nawed hai

    mere liye to aap ka didar id hai

    kis ne kaha hai zist mere nam kijiye

    do pal bhi sath aap ka id-e-said hai

    ek aarzu hai aap mere ham-safar banen

    ta-umr dekhti rahun ye shauq-e-did hai

    dil Dub jaega mera barish mein pyar ki

    sailab-e-ishq aane ki shayad shunid hai

    har waqt mere lab pe rahi hai yahi dua

    mil jae wo ki jis ka mera dil murid hai

    baiThe hain but bane hue aise wo samne

    hone ko ab nigah se guft-o-shunid hai

    be-shak 'sabila' main ne raqam ki hai hai dastan

    lekin naya KHayal hai lahja jadid hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now