paikar se husn jhankte bola ki aaiye
paikar se husn jhāñkte bolā ki aa.iye
dariyā ke saath aap bhī sahrā banā.iye
phir yuuñ huā ham us meñ kahīñ mahv ho ga.e
us ne kahā thā vaqt ko sakte meñ lā.iye
ai sākinān-e-chashm chaleñ sulh kījiye
uThiye hamāre ḳhvāb ko siine lagā.iye
is kāsa-e-hurūf kī suntā nahīñ koī
dast-e-duā sameTiye aur lauT jā.iye
vaqt-e-safar ḳhamosh haiñ bosa-kinān-e-lab
un se kalām kījiye un ko rulā.iye
'ārish' kisī ne chāñd banānā hai chaak par
apne badan kī miTTī zarā gūñdh lā.iye
paikar se husn jhankte bola ki aaiye
dariya ke sath aap bhi sahra banaiye
phir yun hua hum us mein kahin mahw ho gae
us ne kaha tha waqt ko sakte mein laiye
ai sakinan-e-chashm chalen sulh kijiye
uThiye hamare KHwab ko sine lagaiye
is kasa-e-huruf ki sunta nahin koi
dast-e-dua sameTiye aur lauT jaiye
waqt-e-safar KHamosh hain bosa-kinan-e-lab
un se kalam kijiye un ko rulaiye
'arish' kisi ne chand banana hai chaak par
apne badan ki miTTi zara gundh laiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.