paiman-e-wafa-e-yar hain hum
paimān-e-vafā-e-yār haiñ ham
yā'nī nā-pā.edār haiñ ham
ḳhāk-e-sar-e-rahguzār haiñ ham
pāmāl-e-jafā-e-yār haiñ ham
naumīdī o yaas chaar sū hai
uf kis ke umīd-vār haiñ ham
kis dushman-e-jāñ kī aarzū hai
jo maut ke ḳhvāst-gār haiñ ham
tū ham se hai bad-gumāñ sad afsos
tere hī to jāñ-nisār haiñ ham
'vahshat' ḳhāmosh jal rahe haiñ
goyā sham'-e-mazār haiñ ham
paiman-e-wafa-e-yar hain hum
ya'ni na-paedar hain hum
KHak-e-sar-e-rahguzar hain hum
pamal-e-jafa-e-yar hain hum
naumidi o yas chaar su hai
uf kis ke umid-war hain hum
kis dushman-e-jaan ki aarzu hai
jo maut ke KHwast-gar hain hum
tu hum se hai bad-guman sad afsos
tere hi to jaan-nisar hain hum
'wahshat' KHamosh jal rahe hain
goya sham'-e-mazar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.