paimana-e-haal ho gae hum
paimāna-e-hāl ho ga.e ham
gardish meñ misāl ho ga.e ham
takmīl-e-kamāl hote hue
tamhīd-e-zavāl ho ga.e ham
har shaḳhs banā hai nāz-bardār
jab ḳhud pe vabāl ho ga.e ham
daryūza-garoñ kī anjuman meñ
kashkol-e-savāl ho ga.e ham
ā.īna-e-karb lafz o ma.anī
farhañg-e-malāl ho ga.e ham
imkān-e-vajūd ke safar par
nikle to muhāl ho ga.e ham
pahle to rahe haqīqat-afroz
phir ḳhvāb-o-ḳhayāl ho ga.e ham
paimana-e-haal ho gae hum
gardish mein misal ho gae hum
takmil-e-kamal hote hue
tamhid-e-zawal ho gae hum
har shaKHs bana hai naz-bardar
jab KHud pe wabaal ho gae hum
daryuza-garon ki anjuman mein
kashkol-e-sawal ho gae hum
aaina-e-karb lafz o mani
farhang-e-malal ho gae hum
imkan-e-wajud ke safar par
nikle to muhaal ho gae hum
pahle to rahe haqiqat-afroz
phir KHwab-o-KHayal ho gae hum
- Book : namuud (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.