pairahan-e-rangin se shola sa nikalta hai
pairāhan-e-rañgīñ se sho'la sā nikaltā hai
mā'sūm hai kyā jaane dāman kahīñ jaltā hai
merī mizha-e-ġham par larzāñ hai haqīqat sī
un ke lab-e-la.alīñ par afsāna machaltā hai
achchhī hai rahe thoḌī ye jalva-tarāzī bhī
raqs-e-mah-o-anjum meñ dīvāna bahaltā hai
unvān-e-taraqqī hai ye tīra-fizā.ī bhī
kuchh gard bhī uThtī hai jab qāfila chaltā hai
hai shaam abhī kyā hai bahkī huī bāteñ haiñ
kuchh raat Dhale saaqī mai-ḳhāna sañbhaltā hai
bas dekh chukī duniyā ye bazm-farozī bhī
rakkhā hai charāġh aisā bujhtā hai na jaltā hai
ik sehr-e-shabistāñ hai ye fann-e-jahāñ-rānī
duniyā hai ki sotī hai jaadū hai ki chaltā hai
iflās ke aañsū se tūfāñ bhī larazte haiñ
sho'loñ kā jigar goyā shabnam se dahaltā hai
mutrib-ba-lab-e-la.alīñ sāqī-ba-mai-o-mīnā
is garmī-e-mahfil meñ īmān pighaltā hai
pairahan-e-rangin se sho'la sa nikalta hai
ma'sum hai kya jaane daman kahin jalta hai
meri mizha-e-gham par larzan hai haqiqat si
un ke lab-e-lalin par afsana machalta hai
achchhi hai rahe thoDi ye jalwa-taraazi bhi
raqs-e-mah-o-anjum mein diwana bahalta hai
unwan-e-taraqqi hai ye tira-fizai bhi
kuchh gard bhi uThti hai jab qafila chalta hai
hai sham abhi kya hai bahki hui baaten hain
kuchh raat Dhale saqi mai-KHana sanbhalta hai
bas dekh chuki duniya ye bazm-farozi bhi
rakkha hai charagh aisa bujhta hai na jalta hai
ek sehr-e-shabistan hai ye fann-e-jahan-rani
duniya hai ki soti hai jadu hai ki chalta hai
iflas ke aansu se tufan bhi larazte hain
sho'lon ka jigar goya shabnam se dahalta hai
mutrib-ba-lab-e-lalin saqi-ba-mai-o-mina
is garmi-e-mahfil mein iman pighalta hai
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 159)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.