pairahan uD jaega rang-e-qaba rah jaega
pairahan uḌ jā.egā rañg-e-qabā rah jā.egā
phuul ke tan par faqat aks-e-havā rah jā.egā
ham to samjhe the ki chāroñ dar muqaffal ho chuke
kyā ḳhabar thī ek darvāza khulā rah jā.egā
kirchiyāñ ho jā.eñgī āñkheñ bhī ḳhvāboñ kī tarah
ā.inoñ meñ naqsh sā tasvīr kā rah jā.egā
baat lab par aa ga.ī to kaun rokegā use
aur terā haath hoñToñ se lagā rah jā.egā
soch lenā an-sunī bāteñ suneñge ek din
dekh lenā har fasāna an-kahā rah jā.egā
ai gunahgāroñ ke dushman ai niko-kāroñ ke yaar
kaun jaane kyā miTegā aur kyā rah jā.egā
ham bichhaḌ jā.eñge shāḳh-e-umr se gir kar 'najīb'
ik tane par naam donoñ kā likhā rah jā.egā
pairahan uD jaega rang-e-qaba rah jaega
phul ke tan par faqat aks-e-hawa rah jaega
hum to samjhe the ki chaaron dar muqaffal ho chuke
kya KHabar thi ek darwaza khula rah jaega
kirchiyan ho jaengi aankhen bhi KHwabon ki tarah
aainon mein naqsh sa taswir ka rah jaega
baat lab par aa gai to kaun rokega use
aur tera hath honTon se laga rah jaega
soch lena an-suni baaten sunenge ek din
dekh lena har fasana an-kaha rah jaega
ai gunahgaron ke dushman ai niko-karon ke yar
kaun jaane kya miTega aur kya rah jaega
hum bichhaD jaenge shaKH-e-umr se gir kar 'najib'
ek tane par nam donon ka likha rah jaega
- Book : Ibaraten (Pg. 25)
- Author : Najeeb Ahmad
- Publication : Jung Publishers (1991)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.