pal-do-pal hai phir ye sona miTTi ka
pal-do-pal hai phir ye sonā miTTī kā
kar do mirā tayyār bichhaunā miTTī kā
ik Thokar se donoñ TuuT ke dekhte haiñ
tū kāñch kā maiñ huuñ khilaunā miTTī kā
tere shīsh-mahal kī chhat bhī shīshe kī
mere ghar kā konā konā miTTī kā
kitne ma.anī rakhtā hai zarā ġhaur to kar
kūza-gar ke haath meñ honā miTTī kā
aag kā hañsnā dekh havā ke lahje meñ
paanī kī āvāz meñ ronā miTTī kā
pal-do-pal hai phir ye sona miTTi ka
kar do mera tayyar bichhauna miTTi ka
ek Thokar se donon TuT ke dekhte hain
tu kanch ka main hun khilauna miTTi ka
tere shish-mahal ki chhat bhi shishe ki
mere ghar ka kona kona miTTi ka
kitne mani rakhta hai zara ghaur to kar
kuza-gar ke hath mein hona miTTi ka
aag ka hansna dekh hawa ke lahje mein
pani ki aawaz mein rona miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.