pal do pal kī jo āshnā.ī thī
mujh ko lagtā thā kal ḳhudā.ī thī
maiñ ne Thukrā diyā thā duniyā ko
jab yahāñ tū palaT ke aa.ī thī
phir kisī dūsre kī ho jaanā
ye batā mujh meñ kyā burā.ī thī
māñgte kyoñ ho tum dalīl-e-ḳhudā
gar ḳhudā thā to ye ḳhudā.ī thī
rog bhī mushtarak jadīd sā thā
har taraf ek hī duhā.ī thī
jis ke lab par savāl aayā thā
aag us ne hī aa lagā.ī thī
'najm' us moḌ par chale aa.e
jis jagah saañs Dagmagā.ī thī
pal do pal ki jo aashnai thi
mujh ko lagta tha kal KHudai thi
main ne Thukra diya tha duniya ko
jab yahan tu palaT ke aai thi
phir kisi dusre ki ho jaana
ye bata mujh mein kya burai thi
mangte kyon ho tum dalil-e-KHuda
gar KHuda tha to ye KHudai thi
rog bhi mushtarak jadid sa tha
har taraf ek hi duhai thi
jis ke lab par sawal aaya tha
aag us ne hi aa lagai thi
'najm' us moD par chale aae
jis jagah sans Dagmagai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.