pal pal kanTa sa chubhta tha
pal pal kāñTā sā chubhtā thā
ye milnā bhī kyā milnā thā
ye kāñTe aur terā dāman
maiñ apnā dukh bhuul gayā thā
kitnī bāteñ kī thiiñ lekin
ek baat se jī Dartā thā
tere haath kī chaa.e to pī thī
dil kā rañj to dil meñ rahā thā
kisī purāne vahm ne shāyad
tujh ko phir bechain kiyā thā
maiñ bhī musāfir tujh ko bhī jaldī
gaaḌī kā bhī vaqt huā thā
ik ujḌe se station par
tū ne mujh ko chhoḌ diyā thā
pal pal kanTa sa chubhta tha
ye milna bhi kya milna tha
ye kanTe aur tera daman
main apna dukh bhul gaya tha
kitni baaten ki thin lekin
ek baat se ji Darta tha
tere hath ki chae to pi thi
dil ka ranj to dil mein raha tha
kisi purane wahm ne shayad
tujh ko phir bechain kiya tha
main bhi musafir tujh ko bhi jaldi
gaDi ka bhi waqt hua tha
ek ujDe se station par
tu ne mujh ko chhoD diya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.