pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun
pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun
Khalid Iqbal Yasir
MORE BYKhalid Iqbal Yasir
palā huuñ nafrat kī āñdhiyoñ meñ magar mohabbat se muñh na moḌūñ
hamesha baazū kushāda rakhkhūñ kabhī muravvat se muñh na moḌūñ
zamāne bhar kī tamām talḳhī ho chāhe mere lahū meñ shāmil
purānī nākāmiyoñ se Dar ke na.ī sharārat se muñh na moḌūñ
jabīñ pe nāgāh paḌne vaalī shikan agar mustaqil huī hai
to zer-e-lab muskurāte rahne kī achchhī aadat se muñh na moḌūñ
burā bhalā vāsta bahar-taur us se kuchh der to rahā hai
kahīñ sar-e-rāh sāmnā ho to itnī shiddat se muñh na moḌūñ
jo dar pe aa hī ga.ī hai 'yāsir' to mujh pe lāzim hai ḳhair-maqdam
hazār be-dil sahī par is khurdurī haqīqat se muñh na moḌūñ
pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun
hamesha bazu kushada rakhkhun kabhi murawwat se munh na moDun
zamane bhar ki tamam talKHi ho chahe mere lahu mein shamil
purani nakaamiyon se Dar ke nai shararat se munh na moDun
jabin pe nagah paDne wali shikan agar mustaqil hui hai
to zer-e-lab muskuraate rahne ki achchhi aadat se munh na moDun
bura bhala wasta bahar-taur us se kuchh der to raha hai
kahin sar-e-rah samna ho to itni shiddat se munh na moDun
jo dar pe aa hi gai hai 'yasir' to mujh pe lazim hai KHair-maqdam
hazar be-dil sahi par is khurduri haqiqat se munh na moDun
- Book : Khayaabaan (Pg. 138)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : azm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.