palaT jaana koi mushkil nahin tha
palaT jaanā koī mushkil nahīñ thā
mirā hī vāpsī kā dil nahīñ thā
matā-e-zīst lā-hāsil nahīñ thā
vale paane ke maiñ qābil nahīñ thā
vo chhuriyāñ dhaar jis par ho rahīñ thiiñ
mirā hī dil thā koī sil nahīñ thā
khulā bāb-e-junūñ jab mujh pe yaaro
mirā tab koī mustaqbil nahīñ thā
marīz-e-ishq hone tak sunā hai
adhūrī zaat thā kāmil nahīñ thā
mujhe ġharqāb thā az-had zarūrī
vagarna ziist ke qābil nahīñ thā
maiñ pyāsā thā magar hoñToñ se mahrūm
samundar thā magar sāhil nahīñ thā
na do ilzām bhauñre ko 'alī' tum
vo hargiz phuul kā qātil nahīñ thā
palaT jaana koi mushkil nahin tha
mera hi wapsi ka dil nahin tha
mata-e-zist la-hasil nahin tha
wale pane ke main qabil nahin tha
wo chhuriyan dhaar jis par ho rahin thin
mera hi dil tha koi sil nahin tha
khula bab-e-junun jab mujh pe yaro
mera tab koi mustaqbil nahin tha
mariz-e-ishq hone tak suna hai
adhuri zat tha kaamil nahin tha
mujhe gharqab tha az-had zaruri
wagarna zist ke qabil nahin tha
main pyasa tha magar honTon se mahrum
samundar tha magar sahil nahin tha
na do ilzam bhaunre ko 'ali' tum
wo hargiz phul ka qatil nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.