Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar

Shatir Hakeemi

palaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar

Shatir Hakeemi

MORE BYShatir Hakeemi

    palaT ke daur-e-zamāñ sub.h-o-shām paidā kar

    na.e tarīq se duniyā meñ naam paidā kar

    tirā mazāq uḌāte haiñ dekhne vaale

    agar nizām ġhalat ho nizām paidā kar

    nazar ko tuur banā dil ko markaz-e-asrār

    ġham-e-alast se aish-e-davām paidā kar

    sukūn maut tamhīd hai zamāne meñ

    lahū meñ harakat o soz-e-tamām paidā kar

    nasīm-e-sub.h mānind muskurātā chal

    guloñ tarah zamāna meñ naam paidā kar

    falak bhī terī bulandī ko nahīñ saktā

    havas ko chhoḌ ke lekin maqām paidā kar

    amīn-e-husn jahāñ-tāb hai tirī hastī

    jahāñ meñ puḳhtagī-e-ishq-e-ḳhām paidā kar

    ḳhudā ke naam pe duniyā ko lūTne vaale

    ḳhudī dil meñ zarā ehtimām paidā kar

    adū bhī naaz uThā.e vo kaam kar 'shātir'

    zamāna sar ko jhukā de vo naam paidā kar

    palaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar

    nae tariq se duniya mein nam paida kar

    tera mazaq uDate hain dekhne wale

    agar nizam ghalat ho nizam paida kar

    nazar ko tur bana dil ko markaz-e-asrar

    gham-e-alast se aish-e-dawam paida kar

    sukun maut ki tamhid hai zamane mein

    lahu mein harakat o soz-e-tamam paida kar

    nasim-e-subh ki manind muskuraata chal

    gulon ki tarah zamana mein nam paida kar

    falak bhi teri bulandi ko pa nahin sakta

    hawas ko chhoD ke lekin maqam paida kar

    amin-e-husn jahan-tab hai teri hasti

    jahan mein puKHtagi-e-ishq-e-KHam paida kar

    KHuda ke nam pe duniya ko luTne wale

    KHudi ka dil mein zara ehtimam paida kar

    adu bhi naz uThae wo kaam kar 'shatir'

    zamana sar ko jhuka de wo nam paida kar

    Source :
    • Book : Maut-o-Hayat (Pg. 98)
    • Author : Shatir Hakeemi
    • Publication : Hazrat Shatir Hakeemi urdu acadmy Kamti Zila Nagpur (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now