palken zamin pe apni bichhati hai chandni
palkeñ zamīñ pe apnī bichhātī hai chāñdnī
aise meñ dil hamārā lubhātī hai chāñdnī
jab saath chhoḌ detā hai sūraj to us ghaḌī
rasta musāfiroñ ko dikhātī hai chāñdnī
vo dekhte hī dekhte āñkhoñ ke shahr meñ
har sū mohabbatoñ ko sajātī hai chāñdnī
insān ho yā koī darinda zamīn par
saa.e meñ apne sab ko biThātī hai chāñdnī
har raaz se karāyā mujhe us ne āshnā
har ek baat mujh ko batātī hai chāñdnī
vo bhī hai mubtalā-e-mohabbat mirī tarah
har raat ḳhud ko ḳhud hī jalātī hai chāñdnī
hamrāh bādaloñ ke haiñ 'bismil' ke dāġh-e-dil
apnī ziyā meñ un ko chhupātī hai chāñdnī
palken zamin pe apni bichhati hai chandni
aise mein dil hamara lubhati hai chandni
jab sath chhoD deta hai suraj to us ghaDi
rasta musafiron ko dikhati hai chandni
wo dekhte hi dekhte aankhon ke shahr mein
har su mohabbaton ko sajati hai chandni
insan ho ya koi darinda zamin par
sae mein apne sab ko biThati hai chandni
har raaz se karaya mujhe us ne aashna
har ek baat mujh ko batati hai chandni
wo bhi hai mubtala-e-mohabbat meri tarah
har raat KHud ko KHud hi jalati hai chandni
hamrah baadalon ke hain 'bismil' ke dagh-e-dil
apni ziya mein un ko chhupati hai chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.