palkon ke dil-fareb ishaaro jawab do
palkoñ ke dil-fareb ishāro javāb do
ai be-qarār dil ke sahāro javāb do
jhurmuT meñ kahkashāñ ke haiñ sar-basta kyā rumūz
ai charḳh-e-aḳhzarī ke sitāro javāb do
tasvīr-e-kā.enāt meñ ho kitnī der se
dil khīñchte hasīn nazāro javāb do
gahrā.iyoñ ke bhed kī hai justujū bhī kī
ai qulzum-e-junūñ ke kināro javāb do
huuñ maiñ jo be-sabāt to kyā zamzama karūñ
ho tum bhī be-sabāt bahāro javāb do
palkon ke dil-fareb ishaaro jawab do
ai be-qarar dil ke sahaaro jawab do
jhurmuT mein kahkashan ke hain sar-basta kya rumuz
ai charKH-e-aKHzari ke sitaro jawab do
taswir-e-kaenat mein ho kitni der se
dil khinchte hasin nazaro jawab do
gahraiyon ke bhed ki hai justuju bhi ki
ai qulzum-e-junun ke kinaro jawab do
hun main jo be-sabaat to kya zamzama karun
ho tum bhi be-sabaat bahaaro jawab do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.