palkon pe jo aankhon ki nagine se jaDe hain
palkoñ pe jo āñkhoñ kī nagīne se jaḌe haiñ
kuchh ḳhvāb hai be-jān jo raste meñ paḌe haiñ
mātam hai bapā tark-e-mohabbat kā mire ghar
kuchh lamhe siyāh-posh mire dar pe khaḌe haiñ
kyā kyā na sahā phir bhī maiñ zinda huuñ ajab hai
kuchh hādse ḳhud maut kī qāmat se baḌe haiñ
Dartā huuñ kahīñ is meñ utar jaa.e na koī
is dil meñ mohabbat ke ka.ī raaz gaḌe haiñ
ye kaale nishāñ merī virāsat meñ nahīñ haiñ
āñkhoñ ke gaḌhe haiñ jo ye ro ro ke paḌe haiñ
palkon pe jo aankhon ki nagine se jaDe hain
kuchh KHwab hai be-jaan jo raste mein paDe hain
matam hai bapa tark-e-mohabbat ka mere ghar
kuchh lamhe siyah-posh mere dar pe khaDe hain
kya kya na saha phir bhi main zinda hun ajab hai
kuchh hadse KHud maut ki qamat se baDe hain
Darta hun kahin is mein utar jae na koi
is dil mein mohabbat ke kai raaz gaDe hain
ye kale nishan meri wirasat mein nahin hain
aankhon ke gaDhe hain jo ye ro ro ke paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.