palkon pe yahi KHwab sajaya hai ki tum ho
palkoñ pe yahī ḳhvāb sajāyā hai ki tum ho
ye sāmne mere koī tum sā hai ki tum ho
dastak sī huī jab bhī to darvāze ko maiñ ne
har baar yahī soch ke kholā hai ki tum ho
raunaq meñ achānak jo izāfa sā huā hai
āñgan meñ mire chāñd kā haala hai ki tum ho
hai talḳh haqīqat ki mujhe chhoḌ ga.e ho
ehsās magar ab bhī ye hotā hai ki tum ho
bedār the jab tak to muḳhātib the tumhīñ se
jab aañkh lagī ḳhvāb meñ dekhā hai ki tum ho
tum ruuh meñ utre ho pata ye nahīñ phir bhī
aamad kā har ik sher batātā hai ki tum ho
palkon pe yahi KHwab sajaya hai ki tum ho
ye samne mere koi tum sa hai ki tum ho
dastak si hui jab bhi to darwaze ko main ne
har bar yahi soch ke khola hai ki tum ho
raunaq mein achanak jo izafa sa hua hai
aangan mein mere chand ka haala hai ki tum ho
hai talKH haqiqat ki mujhe chhoD gae ho
ehsas magar ab bhi ye hota hai ki tum ho
bedar the jab tak to muKHatib the tumhin se
jab aankh lagi KHwab mein dekha hai ki tum ho
tum ruh mein utre ho pata ye nahin phir bhi
aamad ka har ek sher batata hai ki tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.