panahen DhunDh ke kitni hi roz lata hai
panāheñ DhūñDh ke kitnī hī roz laatā hai
magar vo lauT ke zulfoñ kī samt aatā hai
sulagtī ret hai aur ThanDe pāniyoñ kā safar
vo kaun hai jo hameñ rāsta dikhātā hai
hai intizār mujhe jañg ḳhatm hone kā
lahū kī qaid se bāhar koī bulātā hai
jo mushkiloñ ke liye hal talāsh laayā thā
khilaune baañT ke bachchoñ meñ muskurātā hai
tamām rāste ab ek jaise lagte haiñ
gumān raah meñ shakleñ badal ke aatā hai
shikār dhund kā sahrā-navard karte haiñ
fareb khānā kahāñ dūsroñ ko aatā hai
panahen DhunDh ke kitni hi roz lata hai
magar wo lauT ke zulfon ki samt aata hai
sulagti ret hai aur ThanDe paniyon ka safar
wo kaun hai jo hamein rasta dikhata hai
hai intizar mujhe jang KHatm hone ka
lahu ki qaid se bahar koi bulata hai
jo mushkilon ke liye hal talash laya tha
khilaune banT ke bachchon mein muskuraata hai
tamam raste ab ek jaise lagte hain
guman rah mein shaklen badal ke aata hai
shikar dhund ka sahra-naward karte hain
fareb khana kahan dusron ko aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.