parae shahr mein KHushbu talash lete hain
parā.e shahr meñ ḳhushbū talāsh lete haiñ
jo ahl-e-dil haiñ vo urdu talāsh lete haiñ
hameñ talāsh hai aise nigāh vāloñ kī
jo din ke vaqt bhī jugnū talāsh lete haiñ
maiñ jāntā huuñ kuchh aise udaas logoñ ko
jo qahqahoñ meñ bhī aañsū talāsh lete haiñ
unheñ bhī apnī taraf khīñch lo vafā vāloñ
jo ḳhuun bech ke ghuñghrū talāsh lete haiñ
unheñ bhī merī taraf se duā.eñ do 'rizvī'
jo ḳhvāb bote haiñ baazū talāsh lete haiñ
parae shahr mein KHushbu talash lete hain
jo ahl-e-dil hain wo urdu talash lete hain
hamein talash hai aise nigah walon ki
jo din ke waqt bhi jugnu talash lete hain
main jaanta hun kuchh aise udas logon ko
jo qahqahon mein bhi aansu talash lete hain
unhen bhi apni taraf khinch lo wafa walon
jo KHun bech ke ghunghru talash lete hain
unhen bhi meri taraf se duaen do 'rizwi'
jo KHwab bote hain bazu talash lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.