parastish kar raha hai har jawan-o-pir patthar ki
parastish kar rahā hai har javān-o-pīr patthar kī
sanam-ḳhāne meñ aa kar jaag uThī taqdīr patthar kī
tasavvur ne but-e-kāfir kī dil meñ shakl khīñchī hai
tamāsha dekhiye shīshe meñ hai tasvīr patthar kī
tasavvur dil meñ ashk āñkhoñ meñ lab par mohr-e-ḳhāmoshī
banā baiThā huuñ un kī yaad meñ tasvīr patthar kī
adab se zāhid-e-kāba-nashīñ bhī chuum letā hai
tumhāre dar se lag kar baḌh ga.ī tauqīr patthar kī
gire āñkhoñ se itne laḳht-e-dil yāqūt ban ban kar
nazar aatā thā tār-e-ashk ik zanjīr patthar kī
na bal aa jaa.e 'jauhar' dast-e-nāzuk meñ ḳhudā-hāfiz
idhar hai saḳhtī-e-jāñ aur udhar shamshīr patthar kī
parastish kar raha hai har jawan-o-pir patthar ki
sanam-KHane mein aa kar jag uThi taqdir patthar ki
tasawwur ne but-e-kafir ki dil mein shakl khinchi hai
tamasha dekhiye shishe mein hai taswir patthar ki
tasawwur dil mein ashk aankhon mein lab par mohr-e-KHamoshi
bana baiTha hun un ki yaad mein taswir patthar ki
adab se zahid-e-kaba-nashin bhi chum leta hai
tumhaare dar se lag kar baDh gai tauqir patthar ki
gire aankhon se itne laKHt-e-dil yaqut ban ban kar
nazar aata tha tar-e-ashk ek zanjir patthar ki
na bal aa jae 'jauhar' dast-e-nazuk mein KHuda-hafiz
idhar hai saKHti-e-jaan aur udhar shamshir patthar ki
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 165)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.