parbaton ke peDon par sham ka basera hai
parbatoñ ke peḌoñ par shaam kā baserā hai
surma.ī ujālā hai champa.ī añdherā hai
donoñ vaqt milte haiñ do diloñ kī sūrat se
āsmāñ ne ḳhush ho kar rang sā bikherā hai
Thahre Thahre paanī meñ giit sarsarāte haiñ
bhīge bhīge jhoñkoñ meñ ḳhushbuoñ kā Derā hai
kyuuñ na jazb ho jaa.eñ is hasīñ nazāre meñ
raushnī kā jhurmuT hai mastiyoñ kā gherā hai
parbaton ke peDon par sham ka basera hai
surmai ujala hai champai andhera hai
donon waqt milte hain do dilon ki surat se
aasman ne KHush ho kar rang sa bikhera hai
Thahre Thahre pani mein git sarsaraate hain
bhige bhige jhonkon mein KHushbuon ka Dera hai
kyun na jazb ho jaen is hasin nazare mein
raushni ka jhurmuT hai mastiyon ka ghera hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 280)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.