parda-e-chashm se lahu nikla
parda-e-chashm se lahū niklā
qatra bādal se surḳh-rū niklā
saḳht bātoñ se us kā dil TuuTā
sang-dil shoḳh tund-ḳhū niklā
hai bajā mār-e-āstīñ kahnā
rah ke pahlū meñ dil adū niklā
aañkh kā ishq meñ qusūr nahīñ
dil sarāsar mirā adū niklā
ek gul hī pe kuchh nahīñ mauqūf
vo hazāroñ se ḳhūb-rū niklā
mai ke piine meñ raat bhar zāhid
na to ham nikle aur na tū niklā
aa.ina kal huā thā ḳhāna-nashīñ
aaj kyoñ tere rū-ba-rū niklā
jaa.e kyūñkar kahīñ dil-e-vahshī
basta-e-zulf mū-ba-mū niklā
shauq-e-abrū meñ tere badr-e-munīr
māh-e-nau ban ke qibla-rū niklā
mai piyeñ barshkāl aa.ī hai
sabza duniyā meñ chaar sū niklā
tujh se sharmā ke shaam mehr chhupā
sub.h niklā to radd-e-rū niklā
chashm-e-vahdat parast vā jo huī
maiñ ne dekhā to mujh meñ tū niklā
mohtasib tū bhī sūrat-e-zāhid
dushman-e-sāġhar-o-subū niklā
dost samjhe the ham jise 'tālib'
dushman-e-jān-o-ābrū niklā
parda-e-chashm se lahu nikla
qatra baadal se surKH-ru nikla
saKHt baaton se us ka dil TuTa
sang-dil shoKH tund-KHu nikla
hai baja mar-e-astin kahna
rah ke pahlu mein dil adu nikla
aankh ka ishq mein qusur nahin
dil sarasar mera adu nikla
ek gul hi pe kuchh nahin mauquf
wo hazaron se KHub-ru nikla
mai ke pine mein raat bhar zahid
na to hum nikle aur na tu nikla
aaina kal hua tha KHana-nashin
aaj kyon tere ru-ba-ru nikla
jae kyunkar kahin dil-e-wahshi
basta-e-zulf mu-ba-mu nikla
shauq-e-abru mein tere badr-e-munir
mah-e-nau ban ke qibla-ru nikla
mai piyen barshkal aai hai
sabza duniya mein chaar su nikla
tujh se sharma ke sham mehr chhupa
subh nikla to radd-e-ru nikla
chashm-e-wahdat parast wa jo hui
main ne dekha to mujh mein tu nikla
mohtasib tu bhi surat-e-zahid
dushman-e-saghar-o-subu nikla
dost samjhe the hum jise 'talib'
dushman-e-jaan-o-abru nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.