parda-e-qalb mein anwar tumhaare dekhe
parda-e-qalb meñ anvār tumhāre dekhe
guftugū kis ne sunī kis ne ishāre dekhe
nā-tavānī pe bharosa hai ajal par takiya
tū ne nākām-e-mohabbat ke sahāre dekhe
mehrbānī kī adā.eñ to qayāmat hoñgī
jaan lene meñ ye andāz tumhāre dekhiye
girya-e-chashm se tūfān bapā hai lekin
is kā dariyā kahīñ dekhā na kināre dekhe
ḳhāksārān-e-jahāñ-rā ba-haqārat ma-nigar
ham ne is bhes meñ allāh ke pyāre dekhe
partav-e-sho.ala-e-ruḳh aur araq-ālūd jabīñ
jis ne dekhe na hoñ paanī meñ sharāre dekhe
parda-e-qalb mein anwar tumhaare dekhe
guftugu kis ne suni kis ne ishaare dekhe
na-tawani pe bharosa hai ajal par takiya
tu ne nakaam-e-mohabbat ke sahaare dekhe
mehrbani ki adaen to qayamat hongi
jaan lene mein ye andaz tumhaare dekhiye
girya-e-chashm se tufan bapa hai lekin
is ka dariya kahin dekha na kinare dekhe
KHaksaran-e-jahan-ra ba-haqarat ma-nigar
hum ne is bhes mein allah ke pyare dekhe
partaw-e-shoala-e-ruKH aur araq-alud jabin
jis ne dekhe na hon pani mein sharare dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.