parda-e-shab ki oT mein zohra-jamal kho gae
parda-e-shab kī oT meñ zohra-jamāl kho ga.e
dil kā kañval bujhā to shahr tīra-o-tār ho ga.e
ek hameñ hī ai sahar niiñd na aa.ī raat bhar
zānū-e-shab pe rakh ke sar saare charāġh so ga.e
raah meñ the babūl bhī rūd-e-sharar bhī dhuul bhī
jaanā hameñ zarūr thā gul ke tavāf ko ga.e
dīda-varo batā.eñ kyā tum ko yaqīñ na aa.egā
chehre the jin ke chāñd se siine meñ daaġh bo ga.e
dāġh-e-shikast dosto dekho kise nasīb ho
baiThe hue haiñ tez-rau sust-ḳhirām to ga.e
ahl-e-junūñ ke dil 'shakeb' narm the mom kī tarah
tesha-e-yās jab chalā tūda-e-sañg ho ga.e
parda-e-shab ki oT mein zohra-jamal kho gae
dil ka kanwal bujha to shahr tira-o-tar ho gae
ek hamein hi ai sahar nind na aai raat bhar
zanu-e-shab pe rakh ke sar sare charagh so gae
rah mein the babul bhi rud-e-sharar bhi dhul bhi
jaana hamein zarur tha gul ke tawaf ko gae
dida-waro bataen kya tum ko yaqin na aaega
chehre the jin ke chand se sine mein dagh bo gae
dagh-e-shikast dosto dekho kise nasib ho
baiThe hue hain tez-rau sust-KHiram to gae
ahl-e-junun ke dil 'shakeb' narm the mom ki tarah
tesha-e-yas jab chala tuda-e-sang ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.