parda tumhaare ruKH se haTana paDa mujhe
parda tumhāre ruḳh se haTānā paḌā mujhe
yuuñ apnī hasratoñ ko jagānā paḌā mujhe
maiñ ne to khel khel meñ toḌā thā us kā dil
phir saarī umr us ko manānā paḌā mujhe
jab ishq ik ġharīb se mujh ko huā to phir
dil kā jo mol thā vo ghaTānā paḌā mujhe
us ne kahā maiñ jī nahīñ pā.ūñgī tere bin
is vāste vo rishta nibhānā paḌā mujhe
'faisal' vo saare log the bahre isī liye
ḳhāmosh rah ke shor machānā paḌā mujhe
parda tumhaare ruKH se haTana paDa mujhe
yun apni hasraton ko jagana paDa mujhe
main ne to khel khel mein toDa tha us ka dil
phir sari umr us ko manana paDa mujhe
jab ishq ek gharib se mujh ko hua to phir
dil ka jo mol tha wo ghaTana paDa mujhe
us ne kaha main ji nahin paungi tere bin
is waste wo rishta nibhana paDa mujhe
'faisal' wo sare log the bahre isi liye
KHamosh rah ke shor machana paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.