parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun
parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
parda uThā ke mehr ko ruḳh kī jhalak dikhā ki yuuñ
baaġh meñ jā ke sarv ko qad kī lachak dikhā ki yuuñ
ātish-e-gul chaman ke biich jab hama sū ho shola-zan
apne libās-e-surḳh kī us ko bhaḌak dikhā ki yuuñ
jo koī pūchhe jān-e-man shoḳhī o jalva kis tarah
lama-e-barq kī tarah ek jhamak dikhā ki yuuñ
shīshe ke biich duḳht-e-raz kartī hai shoḳh-chashmiyāñ
tū bhī Tuk apnī chashm kī us ko bhaḌak dikhā ki yuuñ
nazreñ milāve gar koī tujh se kabhī to jān-e-man
us ke ta.iiñ tū duur se āñkheñ tanik dikhā ki yuuñ
kabk o tadrau gar kareñ aage tire ḳhirām-e-nāz
apne ḳhirām-e-nāz kī un ko laTak dikhā ki yuuñ
rātoñ ko tujh se jāgnā gar koī pūchhe 'mus.hafī'
chasm-e-sitāra baaz haiñ us ko falak dikhā ki yuuñ
parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun
bagh mein ja ke sarw ko qad ki lachak dikha ki yun
aatish-e-gul chaman ke bich jab hama su ho shola-zan
apne libas-e-surKH ki us ko bhaDak dikha ki yun
jo koi puchhe jaan-e-man shoKHi o jalwa kis tarah
lama-e-barq ki tarah ek jhamak dikha ki yun
shishe ke bich duKHt-e-raz karti hai shoKH-chashmiyan
tu bhi Tuk apni chashm ki us ko bhaDak dikha ki yun
nazren milawe gar koi tujh se kabhi to jaan-e-man
us ke tain tu dur se aankhen tanik dikha ki yun
kabk o tadrau gar karen aage tere KHiram-e-naz
apne KHiram-e-naz ki un ko laTak dikha ki yun
raaton ko tujh se jagna gar koi puchhe 'mushafi'
chasm-e-sitara baz hain us ko falak dikha ki yun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.