pardon se ghar ke raaz chhupaega kya koi
pardoñ se ghar ke raaz chhupā.egā kyā koī
phūloñ se ghar kā ruup khilā.egā kyā koī
mushkil se ghar kī band havā par hai iḳhtiyār
bāhar havā ko raah dikhā.egā kyā koī
mehnat se thak ke chuur gunāhoñ kī bhiiḌ ko
achchhe-bure kā farq sikhā.egā kyā koī
bāzār ab hai ziist kī rūh-e-ravāñ magar
āb-o-havā ke daam lagā.egā kyā koī
har qism kī sharāb mayassar huī to kyā
paanī se baḌh ke pyaas bujhā.egā kyā koī
aage nikal chukī hai hayā se nazar kī baat
'dānish' kisī se aañkh milā.egā kyā koī
pardon se ghar ke raaz chhupaega kya koi
phulon se ghar ka rup khilaega kya koi
mushkil se ghar ki band hawa par hai iKHtiyar
bahar hawa ko rah dikhaega kya koi
mehnat se thak ke chur gunahon ki bhiD ko
achchhe-bure ka farq sikhaega kya koi
bazar ab hai zist ki ruh-e-rawan magar
aab-o-hawa ke dam lagaega kya koi
har qism ki sharab mayassar hui to kya
pani se baDh ke pyas bujhaega kya koi
aage nikal chuki hai haya se nazar ki baat
'danish' kisi se aankh milaega kya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.