pareshan bhi karegi gul khila ke
pareshāñ bhī karegī gul khilā ke
tamāshe dekhte rahnā havā ke
yahīñ jannat yahīñ goyā jahannam
tū hī ab soch ai bande ḳhudā ke
bulāte vo agar to kyā na jaate
girafta yuuñ bhī kab the ham anā ke
guloñ par kāñpte shabnam ke qatre
larazte harf hoñToñ par duā ke
havas kī aag ne jhulsā diyā hai
hameñ chalnā thā kuchh dāman bachā ke
hai kis ke lams kī ḳhushbū guloñ meñ
dhanak meñ rañg haiñ kis kī adā ke
Thaharte haiñ zarā palkoñ pe aañsū
sitāre TūTte haiñ jhilmilā ke
koī parde ke pīchhe boltā thā
magar ham ḳhush hue the lab hilā ke
hamārī jaan par ban aa.ī lekin
kahāñ hai mutma.in vo aazmā ke
kabhī khul kar miyāñ-'fārūq' hañs do
ye kyā rah jaate ho tum muskurā ke
pareshan bhi karegi gul khila ke
tamashe dekhte rahna hawa ke
yahin jannat yahin goya jahannam
tu hi ab soch ai bande KHuda ke
bulate wo agar to kya na jate
girafta yun bhi kab the hum ana ke
gulon par kanpte shabnam ke qatre
larazte harf honTon par dua ke
hawas ki aag ne jhulsa diya hai
hamein chalna tha kuchh daman bacha ke
hai kis ke lams ki KHushbu gulon mein
dhanak mein rang hain kis ki ada ke
Thaharte hain zara palkon pe aansu
sitare TuTte hain jhilmila ke
koi parde ke pichhe bolta tha
magar hum KHush hue the lab hila ke
hamari jaan par ban aai lekin
kahan hai mutmain wo aazma ke
kabhi khul kar miyan-'faruq' hans do
ye kya rah jate ho tum muskura ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.